L
iLyricsLab Movie Songs
Poster for Gandhi Talks

Zara Zara Zara Zara

Movie: Gandhi Talks

Singer: Hinanaaz Bali, Faiz Mustafa

Lyricist: Nirmika Singh

Advertisement

Remove Ads

Hindi

ज़रा ज़रा हैरान मैं हुई समझ के सारी बातें भी नादान मैं हुई क़ुर्बानियों में जो मज़ा है ज़रा ज़रा हैरान मैं हुई

आज अगर रो जाऊँ, न रोको जुदा भी हुए तो अमर होके देखो छुप छुपके खुशियाँ मना रहे हैं ज़रा ज़रा हैरान मैं हुई समझ के सारी बातें भी नादान मैं हुई

ज़िंदगी को लेके मेरे सौ तरीके धीरे धीरे भीगे से रास्ते वही हैं जानती नहीं हैं मेरी क़ुर्बानियाँ

मंज़िलों ने टोका, साँसों ने भी रोका आँखों में गुरूर मेरी मनमानियों ने पिघलाया

ये प्यार हमारा कहाँ बह रहा है घर में तुम्हारे, सिरहाने हमारे ख़ामोशियों ने कहा है हमसे ज़रा ज़रा हैरान मैं हुई समझ के सारी बातें भी नादान मैं हुई

मेरे घर के नीचे नीली एक नदी है मानो ज़िंदगी है ये लकीरों से रोकी, लकीरों से जोड़ी मोहब्बत का जलज़ला है

इस पार मैं हूँ, उस पार तुम डूबना ज़रूर मैं जान भी दे न पाया

दो बूँद लेके समंदर बनाए एक शामियाने में जीवन सजाए तूफ़ान मुझे बहलाए ज़रा ज़रा हैरान मैं हुई समझ के सारी बातें भी नादान मैं हुई

English

Zara zara hairaan main hui Samajh ke saari baatein bhi naadaan main hui Qurbaniyon mein jo maza hai Zara zara hairaan main hui

Aaj agar ro jaaun, na roko Juda bhi huye to amar hoke dekho Chhup chhupke khushiya mana rahe hain Zara zara hairaan main hui Samajh ke saari baatein bhi naadaan main hui

Zindagi ko leke mere sau tareeke Dheere dheere bheege se Raaste wahi hain Jaanti nahin hain meri qurbaniyan

Manzilon ne toka, saanson ne bhi roka Aankhon mein guroor Meri manmaaniyon ne pighlaaya

Ye pyaar humaara kahaan beh raha hai Ghar mein tumhaare, sirhaane humaare Khaamoshiyon ne kaha hai humse Zara zara hairaan main hui Samajh ke saari baatein bhi naadaan main hui

Mere ghar ke neeche neeli ek nadi hai Maano zindagi hai ye Lakeeron se roki, lakeeron se jodi Mohabbat ka jaljala hai

Is paar main hoon, us paar tum Doobna zaroor Main jaan bhi de na paaya

Do boond leke samandar banaaye Ek shaamiyane mein jeevan sajaaye Toofaan mujhe behlaaye Zara zara hairaan main hui Samajh ke saari baatein bhi nadaan main hui

Advertisement

Remove Ads